Mohammad Yusuf Rasikh

hashr mein aur hi aasar nazar aate hain

Mohammad Yusuf Rasikh

hashr meñ aur hī āsār nazar aate haiñ
mere haamī shah-e-abrār nazar aate haiñ
dil-e-betāb ko ye kah ke sambhālā shab-e-ġham
Thahar ab sub.h ke āsār nazar aate haiñ
qalb-e-momin kī ajab shaan hai allāh allāh
sar jhukātā huuñ to anvār nazar aate haiñ
shab-e-asrā na rahā ek bhī parda haa.il
saaf haq ke unheñ dīdār nazar aate haiñ
dast-e-qudrat ne banā.ī hai vo sūrat terī
jis ke kaunain ḳharīdār nazar aate haiñ
chhup nahīñ sakte haiñ us parda nashīñ ke āshiq
ham ne dekhe haiñ sar-e-dār nazar aate haiñ
shāfe-e-hashr shafā.at pe kamar-basta hai
aaj har samt gunahgār nazar aate haiñ
faiz-e-sāqī se hai mai-ḳhāna-e-hastī ābād
aaj mai-ḳhvār hī mai-ḳhvār nazar aate haiñ
apne bātin ko na dekhā kabhī zāhid tū ne
ham to mai-ḳhvār haiñ mai-ḳhvār nazar aate haiñ
abr aate haiñ jo furqat meñ tirī ai saaqī
sūrat-e-dīda-e-ḳhūñbār nazar aate haiñ
ġhuncha-e-dil jo tire hijr meñ afsurda hai
baaġh meñ phuul mujhe ḳhaar nazar aate haiñ
maraz-e-ishq kī hālat koī ham se pūchhe
vo to achchhe haiñ jo bīmār nazar aate haiñ
haath ḳhālī hai magar dil to ġhanī hai apnā
chashm-e-maḳhlūq meñ zardār nazar aate haiñ
chhūT jā.eñge musībat se ab inshā-allāh
hijr meñ maut ke āsār nazar aate haiñ
Dagmagāte haiñ qadam rāh-e-vafā meñ mere
marhale ishq ke dushvār nazar aate haiñ
is qadar mahv rahe hirs-o-havā meñ 'rāsiḳh'
ab to sūrat se gunahgār nazar aate haiñ
Top Urdushayar.com