Mohammad Yusuf Rasikh

tare khile hue hain shab-e-mahtab hai

Mohammad Yusuf Rasikh

taare khile hue haiñ shab-e-māhtāb hai
ma.ashūq ham-piyāla hai bazm-e-sharāb hai
ye kyā sitam hai vasl meñ muñh par naqāb hai
qurbān is hayā ke ye kaisā hijāb hai
baiThe ho mere sāmne pahlū meñ ġhair ke
phir mujh se pūchhte ho tumheñ kyuuñ itaab hai
ye faiz hai mire araq-e-infi.āl kā
nār-e-jahīm mere liye aab aab hai
tasvīr-e-ġhair bhej ke us ne ba-laff-e-ḳhat
unvāñ ye likh diyā tire ḳhat kā javāb hai
kyuuñ chheḌte haiñ mujh ko nakīrain qabr meñ
jo so rahā ho us ko jagānā azaab hai
is ke bhī mustahiq nahīñ aġhyār nā-ba-kār
gaalī bhī aap deñ to vo durr-e-ḳhushāb hai
mujh ko nahīñ hai sham.a kī hājat sar-e-mazār
merā har ek dāġh-e-jigar āftāb hai
tum to faroġh-e-husn meñ bar-ḳhud ġhalat rahe
maiñ ne na kah diyā thā ye dhoka hai ḳhvāb hai
ka.aba jo ik butoñ kā purānā maqām thā
zāhid vahāñ ke shauq meñ pādar-rikāb hai
bhūle hue ho ahd-e-javānī pe kis liye
is se to pā.edār ziyāda habāb hai
rusvā mire kiye se na hogā vo hashr meñ
us kā sharīk ye dil-e-ḳhāna-ḳharāb hai
phande meñ phañs gayā dil-e-nādāñ hazār haif
kis ko ḳhabar thī zulf tumhārī tanāb hai
kyuuñ tum ne mere ḳhat ke parḳhache uḌā diye
nārāz ho to mujh se ho mujh par itaab hai
ham ko nahīñ hai jis lab-e-nāzuk se faiz kuchh
ho vo jo ḳhush-numā.ī meñ barg-e-gulāb hai
mutrib ne raag chheḌā hai aa kar shab-e-firāq
kyā dil-ḳharāsh naġhma-e-chañg-o-rabāb hai
'rāsiḳh' milā hai apnī riyāzat kā phal mujhe
naḳhl-e-suḳhan jo aaj mirā bāryāb hai
Top Urdushayar.com