Mohammad Yusuf Rasikh

ranj par ranj musibat si musibat dekhi

Mohammad Yusuf Rasikh

rañj par rañj musībat sī musībat dekhī
hijr-e-maulā meñ ye ārām kī sūrat dekhī
mahv-e-dīdār rahe hashr meñ āshiq tere
aañkh uThā kar na kabhī ḳhuld kī sūrat dekhī
le liyā vāda-e-baḳhshish bhī duhā.ī kar ke
shāfe-e-hashr kī ummat se mohabbat dekhī
aa ga.ī mujh ko nazar ġhāyat-e-chashm-e-mushtāq
qabr meñ aa ke mohammad kī jo sūrat dekhī
āzmātī hai shab-e-hijr mujhe kyā hamdam
maiñ to ḳhush huuñ ki judā.ī kī haqīqat dekhī
jalve kā va.ada qayāmat pe kiyā thā mauqūf
aap ke hijr meñ sau baar qayāmat dekhī
ḳhush-nasībī hai ki maiñ ashraf-e-maḳhlūq huā
lillāhil-hamd ġham-e-ishq kī lazzat dekhī
ḳhār-e-taiba ko gul-e-ḳhuld se baḌh kar samjhe
ham ne in kāñToñ meñ vo bū-e-mohabbat dekhī
daur-e-sāġhar se to pahle hī na thā hosh mujhe
maiñ ne saaqī kī nigāhoñ meñ karāmat dekhī
parda-e-hashr meñ poshīda rakhā apnā jamāl
us ne jab tālib-e-dīdār kī kasrat dekhī
duḳhtar-e-raz kī nigāhoñ se bachā.e allāh
aap ne 'rāsiḳh'-e-mai-ḳhvār kī hālat dekhī
Top Urdushayar.com