Mohammad Yusuf Rasikh

dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka

Mohammad Yusuf Rasikh

dil meñ jo tasavvur hai tirī zulf-e-rasā kā
samjhā huuñ ise maiñ to amal radd-e-balā kā
duniyā meñ koī mujh sā gunahgār na hogā
maiñ ḳhaak kā putlā nahīñ putlā huuñ ḳhatā kā
jannat kī hai ummīd to dozaḳh kā hai khaTkā
dushvār hai maidān bahut bīm-o-rajā kā
hūrān-e-jināñ ne hameñ āñkhoñ pe biThāyā
dekhe to koī martaba tere shohdā kā
sāġhar kī tamannā hai na shīshe kī zarūrat
mastāna huuñ terī nigah-e-hosh-rubā kā
anvār-e-mohammad ke haiñ anvār-e-ilāhī
dīdār mohammad kā hai dīdār ḳhudā kā
ik raaz hai ye bhī ki tirī teġh kā paanī
chashma hai shahīdoñ ke liye āb-e-baqā kā
allāh ke mahbūb kī nazroñ meñ hai e.ajāz
siine meñ jo allāh kā ghar thā use taakā
be-ā.ī marūñ tum pe ki marnā hai muqaddar
kyuuñ muft meñ ehsān uThā.ūñ maiñ qazā kā
marqad meñ bhī ummat ko na bhūle shah-e-vālā
allāh-ġhanī dhyān hai kitnā ġhorabā kā
rauze pe kyā arz mirā hāl-e-pareshāñ
ehsān na bhūlūñgā kabhī bād-e-sabā kā
jis ḳhaak pe āshiq ne kiye sajdoñ pe sajde
ḳhāka thā vahāñ aap ke naqsh-e-kaf-e-pā kā
arbāb-e-karam phūlte-phalte haiñ hamesha
miltā hai samar un ko ġharīboñ kī duā kā
'rāsiḳh' kī zabāñ par ho dam-e-marg ye misra
mahbūb kī ummat meñ huuñ banda huuñ ḳhudā kā
Top Urdushayar.com