dil-e-nālāñ tirī aahoñ meñ asar hai ki nahīñ
be-qarārī jo idhar hai vo udhar hai ki nahīñ
sho.ala-e-ishq jigar tak to bhaḌak uTThā hai
kuchh ḳhabar bhī tujhe ai dīda-e-tar hai ki nahīñ
ham batā.eñ tumheñ is shoḳh ke parda kā sabab
dekhnā ye hai tumheñ tāb-e-nazar hai ki nahīñ
qais ye chāk-garebāñ to hai vahshat kī dalīl
chāk-dil hai ki nahīñ chāk-jigar hai ki nahīñ
us kī sūrat se huuñ sannā-e-azal kā qaa.il
jalva-e-qudrat-e-haq husn-e-bashar hai ki nahīñ
ka.aba-e-dil pe mire roz chaḌhā.ī kaisī
ai buto kuchh tumheñ allāh kā Dar hai ki nahīñ
lan-tarānī ko zarā ġhaur se samjho muusā
jalva-e-hashr tumheñ madd-e-nazar hai ki nahīñ
dair meñ DhūñDhtā huuñ ka.aba-nashīñ ko zāhid
vahī jalva jo udhar hai vo idhar hai ki nahīñ
qatl-e-āshiq to tirī aañkh kā jaada Thahrā
lab-e-īsā kā tire lab meñ asar hai ki nahīñ
mere phūloñ se bhī dāman ko bachāyā tum ne
is taġhāful kī bhī kuchh tum ko ḳhabar hai ki nahīñ
sham.a kī nazr idhar jaan patañgoñ kī huī
vaqf-e-gul-gīr idhar sham.a kā sar hai ki nahīñ
shab ko barse the mire dīda-e-tar tham tham kar
sub.h ko dekhiye to ġhair kā ghar hai ki nahīñ
haath ḳhālī na dikhāo pa.e qatl-e-dushman
teġh bhuul aa.e to kyā teġh-e-nazar hai ki nahīñ
dam to lene do nakīrain thakā-māñda huuñ
ruḳh pe dekho to mire gard-e-safar hai ki nahīñ
nāla-e-dil to mirā shor-e-qayāmat hai magar
nāzukī terī mujhe madd-e-nazar hai ki nahīñ
ġhuncha-e-dil se shab-e-ġham ye sadā aatī thī
maiñ huuñ pazhmurda kahīñ bād-e-sahar hai ki nahīñ
ātishīñ aah kā hai sañg-diloñ par bhī asar
toḌ kar dekh lo patthar meñ sharar hai ki nahīñ
tuur kī aag to bujhte hī bujhegī yārab
tālib-e-dīd ko apnī bhī ḳhabar hai ki nahīñ
sab se aage hai gunahgāroñ kī saf mahshar meñ
qābil-e-nāz mirā dāman-e-tar hai ki nahīñ
ham ne 'rāsiḳh' tujhe mahfil meñ bahut yaad kiyā
us ne pūchhā thā koī tufta-jigar hai ki nahīñ