Mohammad Yusuf Rasikh

na murawwat hai na ulfat na wafa mere baad

Mohammad Yusuf Rasikh

na muravvat hai na ulfat na vafā mere ba.ad
merā sarmāya bhī duniyā se uThā mere ba.ad
bazm-e-mātam hī meñ aa jaao zarā mere ba.ad
chāhiye kuchh to tumheñ pās-e-vafā mere ba.ad
sham-e-madfan se ulajhtī hai sabā mere ba.ad
kaisī bigḌī hai zamāne kī havā mere ba.ad
charḳh kam-zarf hai sar-garm-e-jafā mere ba.ad
us ko marqad bhī khaTaktā hai mirā mere ba.ad
kaun letā thā ġham-e-arz-o-samā mere ba.ad
marne vaalā koī paidā na huā mere ba.ad
haa.e phir bhī na miTā un kī tabī.at kā ġhubār
kar chuke ḳhaak mirī vaqf-e-sabā mere ba.ad
husn kā dekhne vaalā koī baaqī na rahā
kis se karte ho tum ab sharm-o-hayā mere ba.ad
tum ne do phuul to madfan pe chaḌhā.e hote
tum se itnā bhī kabhī ho na sakā mere ba.ad
ho gayā qais ko bhī ishq kā da.avā paidā
ek afsāna nayā tum ne sunā mere ba.ad
ham ne dekhā nahīñ us zarf kā piine vaalā
shīsha kartā hai ye saaqī se gilā mere ba.ad
merī hastī se qayāmat ke uThe haiñ fitne
chhup ke parda meñ koī rah na sakā mere ba.ad
zulf khole hue rote haiñ vo pā.īn-e-mazār
jazb-e-ulfat ne baḌā kaam kiyā mere ba.ad
ḳhāk-e-turbat se mirī log shifā paate haiñ
maraz-e-ishq kī niklī hai davā mere ba.ad
ab vo ārām kahāñ ġhair ke vīrāne meñ
shab-e-furqat hai giraftār-e-balā mere ba.ad
barq ne rakkhā hai derīna ta.alluq qaa.em
āshiyāna meñ mire phuul paḌā mere ba.ad
TukḌe hotā hai jigar sun ke mohabbat kā bayāñ
koī suntā nahīñ bulbul kī sadā mere ba.ad
shaiḳh-e-makka ne paḌhā.ī hai janāze kī namāz
log samjhe mujhe kyā jāniye kyā mere ba.ad
kyuuñ baḌhe un kā qadam gor-e-ġharībāñ kī taraf
haath aayā hai unheñ uzr-e-hinā mere ba.ad
nau-giraftār-e-balā ek mirā dam niklā
dām-e-sayyād meñ koī na phañsā mere ba.ad
mujh se badnām hue shīsha-o-jām-o-sahbā
kyā kahegī mujhe maḳhlūq-e-ḳhudā mere ba.ad
fātiha kaun paḌhe qabr ko Thukrāte haiñ
un ko sūjhī hai qayāmat kī adā mere ba.ad
malak-ul-maut se uljheñge vo ye Dar hai mujhe
dekhiye kis pe chale teġh-e-adā mere ba.ad
be-hijābāna uThā dījiye chehre se naqāb
aur ab kaun hai mushtāq-laqā mere ba.ad
mere phūloñ se bhī dāman ko bachāyā us ne
log samjhe haiñ taġhāful ko hayā mere ba.ad
bul-havas ishq ke parde meñ numūdār hue
ab kahāñ sheva-e-taslīm-o-razā mere ba.ad
zab.h ke vaqt bhī qātil ko duā.eñ dī haiñ
qatre qatre se Tapaktī hai vafā mere ba.ad
zulf khole hue aa.e ho saf-e-mātam meñ
ḳhuub sūjhā amal-e-radd-e-balā mere ba.ad
jaan dete haiñ shahādat kī tamannā meñ ġharīb
lab-e-qātil pe ye jaarī hai sadā mere ba.ad
kākul-e-sāqī-e-kausar kā tasavvur ban kar
qabr par aa.ī hai rahmat kī ghaTā mere ba.ad
guftugū raat ye thī hashr bapā kab hogā
baḌh ke 'rāsiḳh' ne sar-e-bazm kahā mere ba.ad
Top Urdushayar.com