aa gayā zulf ke dam meñ dil-e-nādāñ apnā
apne hāthoñ se kiyā haal pareshāñ apnā
vo dikhāte haiñ kise jalva-e-pinhāñ apnā
kyā kareñ haal bayāñ mūsī-e-imrāñ apnā
jī uThe dekh ke ham kūcha-e-jānāñ kī bahār
aañkh ke sāmne thā chashma-e-haivāñ apnā
ishq meñ hausla-e-zabt na ho kyā ma.anī
hai vo majnūñ jo kare chaak garebāñ apnā
haa.e muñh Dhāñk ke rone kī bhī sūrat na rahī
dasht meñ chhīn liyā ḳhaar ne dāmāñ apnā
phuul ke husn pe sarmast haiñ murġhān-e-chaman
kis se afsāna kahe bulbul-e-nālāñ apnā
din ko ham bādiya-paimā.ī kiyā karte haiñ
bistar ab raat ko hai reg-e-bayābāñ apnā
tum sambhāloge to dil apnā sambhal jā.egā
varna qaabū nahīñ dil par shab-e-hijrāñ apnā
abhī kamsin ho shabāb aa.egā aate aate
rañg badlegā abhī ālam-e-imkāñ apnā
dekhne ke liye rahmat ke karishme haiñ bahut
kaun dekhegā vahāñ nāma-e-isyāñ apnā
saaf rusvā.ī ke āsār nazar aate haiñ
kahne sunñe meñ nahīñ hai dil-e-nādāñ apnā
yaad aane lagī yārān-e-vatan kī sohbat
dasht-e-ġhurbat meñ hai allāh nigahbāñ apnā
kaun hotā hai musībat meñ bashar kā hamdam
shab-e-furqat ke sivā kaun hai pursāñ apnā
kyuuñ milā hai hameñ āḳhir ye kafan kā parda
maut kī aañkh meñ khaTkā tan-e-uryāñ apnā
dil koī chiiz nahīñ terī mohabbat ke baġhair
maiñ to samjhā thā ġham-e-ishq ko mehmāñ apnā
bāda-noshī se ye e.azāz milā hai zāhid
aap ko shaiḳh samajhte haiñ musalmāñ apnā
aaj har qatre se aatī hai anal-haq kī sadā
ye dikhātā hai asar ḳhūn-e-shahīdāñ apnā
malak-ul-maut kī sūrat se maiñ ghabrātā huuñ
aap rakhte mujhe sharminda-e-ehsāñ apnā
daur-e-sāġhar meñ nazar aa.e nizām-e-qudrat
saath is tarah se de gardish-e-daurāñ apnā
āshiq-e-zār pe rah rah ke nazar paḌtī hai
DhūñDhtī hai koī hamdam shab-e-hijrāñ apnā
ham-qafas jitne haiñ sayyād se tharrāte haiñ
kyā kahūñ kis se kahūñ hāl-e-pareshāñ apnā
ham ne 'rāsiḳh' tire ustād kā dekhā hai kalām
aaj ham-sar nahīñ rakhtā vo suḳhan-dāñ apnā
ġhair kī bazm ke muhtāj nahīñ ham 'rāsiḳh'
shād-o-ābād rahe kulba-e-ahzāñ apnā
mai-kashī hai tire chehra se numāyāñ 'rāsiḳh'
tū ne kyā haal kiyā hai ye merī jaañ apnā