Mohammad Yusuf Rasikh

ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera

Mohammad Yusuf Rasikh

ghaḌī bhar rañg nikhrā sūrat-e-gul-hā-e-tar merā
usī hastī pe us gulshan meñ thā ye shor-o-shar merā
nizām-e-bazm-e-duniyā hashr ke maidāñ kā naqsha hai
yahī hai shāmat-e-isyāñ bhaTaknā dar-ba-dar merā
samajhtā huuñ vasīla maġhfirat kā sharm-e-isyāñ ko
ki ashkoñ se mire dhul jā.egā dāmān-e-tar merā
fazā-e-ka.aba-e-at.har kā naqsha aañkh se dekhūñ
ilāhī is havā meñ ḳhushk ho dāmān-e-tar merā
dar-e-ka.aba pe jab sajde kiye āvāz ye aa.ī
butoñ kī Thokareñ khā kar tujhe sūjhā hai ghar merā
naqāb-e-husn jab uTThā to āñkheñ khul ga.iiñ merī
faroġh-e-husn thā dam-bhar ko mānind-e-sharar merā
use parde meñ rah kar bhī ḳhayāl aatā hai rah rah kar
ki raaz ifshā na kar de ḳhalq meñ husn-e-bashar merā
guzar kar ḳhāna-e-dil se baḌhūñ kyuuñ tuur kī jānib
ki barq-e-husn se jalne ko hai maujūd ghar merā
sanam qadmoñ pe girte haiñ zabāneñ band rahtī haiñ
butoñ par ro.ab hai allāhu-akbar is qadar merā
mohabbat kī har ik manzil pe sahrā-e-adam niklā
ḳhizar bhī saath de sakte nahīñ har gaam par merā
farishte bhī na samjhe aaj tak merī haqīqat ko
ki tāj-e-ashraf-e-maḳhlūq kī zīnat hai sar merā
zabāñ par zikr jaarī thā barābar hamd-e-ḳhāliq kā
azal meñ kaam Thahrā mid.hat-e-ḳhairul-bashar merā
zabān-e-sham.a maiñ ne kaaT lī hai bad-gumāñ ho kar
ki raaz ifshā na kar de sub.h ko sham-e-sahar merā
mirī hastī se pahle kaun samjhā sirr-e-vahdat ko
rahegā tazkira dair-o-haram meñ umr-bhar merā
vo qatra huuñ ki jis kī mauj meñ bahr-e-haqīqat hai
vo zarra huuñ ki muñh takte haiñ ḳhurshīd-o-qamar merā
dil-e-majrūh kī hālat pe rahm aayā masīhā ko
davā ke naam par hañsne lagā zaḳhm-e-jigar merā
zarā piine to de saaqī sharāb-e-ma.arifat mujh ko
udhar phir jā.egā qibla bhī ruḳh hogā jidhar merā
sadā-e-kalematul-haq meñ tirī tahrīk shāmil hai
anal-haq kahtā hai har qatra-e-ḳhūn-e-jigar merā
yahī sūrat hai ab taqdīr ke chakkar nikalne kī
ilāhī āstāna ho haram kā aur sar merā
tujhe ai charḳh kyā mālūm rutba dard-e-ulfat kā
karegā naam raushan ḳhalq meñ dāġh-e-jigar merā
tamannā hai ki 'rāsiḳh' hamd-goī ke vasīle se
riyāz-e-dahr meñ naḳhl-e-suḳhan ho bār-var merā
Top Urdushayar.com