husn achchhā hai mohammad kā kamāl achchhā hai
jo ḳhudā ko bhī hai pyārā vo jamāl achchhā hai
bazm-e-kaunain murattab huī terī ḳhātir
vaqt hai tere liye is meñ jo maal achchhā hai
mujh se pūchhe to koī tere ġhulāmoñ kā uruuj
bādshāhoñ se bhī rutbe meñ bilāl achchhā hai
ġham uThāne kī hai aadat mirī tab-e-sānī
maiñ to kahtā huuñ ki duniyā meñ malāl achchhā hai
qissa-e-tūr se vāqif hai zamāna saarā
koī kis muñh se kahe shauq-e-jamāl achchhā hai
bazm meñ dekh ke hasrat se kisī ko chup huuñ
dar-haqīqat yahī andāz-e-savāl achchhā hai
jis meñ ik din bhī mayassar ho mulāqāt kī raat
mere nazdīk to vo maah vo saal achchhā hai
lutf detā hai mujhe terā tasavvur shab-e-ġham
sach kahā karte haiñ achchhoñ kā ḳhayāl achchhā hai
jab se dekhe haiñ tumhāre lab-o-abrū ham ne
na kahā hai na kaheñge ki hilāl achchhā hai
tujh se haT kar kahīñ paḌtī hī nahīñ merī nazar
yuuñ to yūsuf kā bhī hone ko jamāl achchhā hai
āshiqoñ ke liye kis kaam kā hai sabr-o-qarār
jo tire ġham meñ rahe muztarib haal achchhā hai
us ne dekhā hī nahīñ qāmat-e-zebā terā
jo ye kahtā ho ki gulshan meñ nihāl achchhā hai
phir vahī zikr hai arbāb-e-karam kā 'rāsiḳh'
ham samajhte haiñ ye andāz-e-savāl achchhā hai