vafā kā mirī kyā silā dījiyegā
ġham-e-dil kī lazzat baḌhā dījiyegā
mujhe dekh kar muskurā dījiyegā
yūñhī merī hastī miTā dījiyegā
sila dil lagāne kā kyā dījiyegā
sitam dījiyegā sazā dījiyegā
sukūñ kī talab mujh ko hargiz nahīñ hai
bas ik dard kā silsila dījiyegā
ḳhushī bāñTne ke nahīñ aap qaa.il
to ġham hī mujhe kuchh sivā dījiyegā
mujhe kyā ḳhabar thī ki ḳhud lauh-e-dil par
mirā naam likh kar miTā dījiyegā
sukūn qalb ko jis se mil jaa.e 'tābāñ'
ġhazal koī aisī sunā dījiyegā