har ek shaḳhs mirā shahr meñ shanāsā thā
magar jo ġhaur se dekhā to maiñ akelā thā
vo ḳhvāb aish-e-tarab kā jo ham ne dekhā thā
haqīqatoñ se pare thā hasīn dhokā thā
ḳhudā hameñ bhī dikhā de vo daur kaisā thā
ḳhulūs-o-mehr kā har shaḳhs jis meñ dariyā thā
sitam bhī mujh pe vo kartā rahā karam kī tarah
vo mehrbāñ to na thā mehrbān jaisā thā
guzishta raat bhī ham ne yūñhī guzārī thī
zamīn ko farsh kiyā āsmān oḌhā thā
usī ko matlabī 'tābāñ' kahā zamāne ne
duā salām jo chhoTe baḌe se rakhtā thā