hoñge vo jalva-gar kabhī na kabhī
ā.eñge baam par kabhī na kabhī
ye yaqīñ hai kī merī ulfat kā
hogā un par asar kabhī na kabhī
khīñch lā.egā merā jazba-e-dil
tujh ko ai be-ḳhabar kabhī na kabhī
laakh ham se chhupā to phir kyā hai
DhūñD legā nazar kabhī na kabhī
sher-goī ko aap kī 'tābāñ'
hogā hāsil samar kabhī na kabhī