sitam hai apnā kisī ne banā ke luuT liyā
mirī nazar se nazar ko milā ke luuT liyā
harīm-e-nāz ke parde meñ jo nihāñ thā kabhī
usī ne shoḳh adā.eñ dikhā ke luuT liyā
rahā na hosh mujhe us ke ba.ad phir kuchh bhī
kī jab kisī ne muqābil meñ aa ke luuT liyā
ajiib naaz se ulTī naqāb-e-ruḳh is ne
kī mujh ko rūh-e-munavvar dikhā ke luuT liyā
lo ham bhī aaj to 'tābāñ' fareb khā baiThe
kisī ne yūñhī mohabbat se jā ke luuT liyā