roz-e-avval hī ḳhatā-kār banāyā gayā huuñ
aur phir ashraf-e-maḳhlūq batāyā gayā huuñ
TūTne aur bikharne pe hai vāvailā kyoñ
dekhiye kitnī bulandī se girāyā gayā huuñ
iḳhtiyārāt se taqdīr se kyā lenā hai
vaqt kī gard meñ tinkā sā uḌāyā gayā huuñ
zindagī ek Dagar par hī kahāñ chaltī hai
kabhī dīvār kabhī dil se lagāyā gayā huuñ
donoñ hāthoñ se luTāte hue ye to socheñ
kitnī mehnat se mohabbat se kamāyā gayā huuñ
maiñ na yūsuf huuñ na hai koī ḳharīdār mirā
jaane kyā soch ke bāzār meñ laayā gayā huuñ
imtihāñ dene talak yaad jinheñ rakhā jaa.e
un savālāt kī mānind bhulāyā gayā huuñ
nok-e-ḳhanjar se sahī vaqt ke hāthoñ lekin
gudgudī kar ke ka.ī baar hañsāyā gayā huuñ
is zamāne kā huuñ maiñ ek hañsī kā maqrūz
jis kī pādāsh meñ ik umr rulāyā gayā huuñ
mas.ala yuuñ hī nahīñ pesh fishār-e-ḳhūñ kā
ḳhud se uljhāyā gayā aur laḌāyā gayā huuñ
ajnabī log zamīñ-zād nahīñ lagte haiñ
aur sayyāre pe shāyad maiñ basāyā gayā huuñ
confucius ho ki nānak ho ki buddhā gautam
so tarīqoñ se sabaq ek paḌhāyā gayā huuñ
laakh pardoñ meñ sahī merī haqīqat malfūf
maiñ ba-har-rañg zamāne ko dikhāyā gayā huuñ
mujh ko māhaul muāfiq nahīñ aayā 'jāzib'
phuul huuñ aur sar-e-dasht khilāyā gayā huuñ