na.e charāġh na.ī raushnī atā karte
agar purāne diye un se kuchh vafā karte
maiñ zindagī tere ehsān meñ dabā hī rahā
ik umr guzrī tirā qarz bhī adā karte
tujhe bhī aate musāfir salām manzil ke
ba-sad-ḳhulūs jo tere qadam uThā karte
ḳhudī pasand anāsir hayāt ki ḳhātir
jo ehtijāj na karte to aur kyā karte
samajh se kaam jo letā har ek bashar 'tābāñ'
na hāhā-kār hī machte na ghar jalā karte