bahār ban ke mire har nafas pe chhā.ī ho
ajab adā se mirī zindagī meñ aa.ī ho
tumhārā husn vo tasvīr-e-husn-e-kāmil hai
ḳhudā ne ḳhaas hī lamhoñ meñ jo banā.ī ho
sharāb hai na sahar hai magar ye aalam hai
kisī ne jaise nigāhoñ se mai pilā.ī ho
tirī tarah hī gurezāñ hai niiñd bhī mujh se
qasam hai terī jo ab tak qarīb aa.ī ho
tū us nigāh se pī vaqt-e-mai-kashī 'tābāñ'
kī jis nigāh pe qurbān pārsā.ī ho