Azeem Haider Syed

aisa ilaj-e-habs-e-dil-e-zar chahiye

Azeem Haider Syed

Karachi, Sindh, Pakistan

1971
aisā ilāj-e-habs-e-dil-e-zār chāhiye
ik dar fasīl-e-jāñ meñ havā-dār chāhiye
ik jhiil naġhma-rez ho ahl-e-safar ke saath
sarsabz duur tak saf-e-ashjār chāhiye
sahrā kaf-e-tamavvuj-e-dariyā meñ ho asiir
sho.ala havā se bar-sar-e-paikār chāhiye
ye ruuh ek tā.ir-e-vahshī nazhād hai
har dam safar ke vāste tayyār chāhiye
apne faroġh-e-husn kī tash.hīr ke liye
shahzādi-e-ḳhayāl ko darbār chāhiye
is shahr-e-ḳhisht-o-sañg ko shīshe kī chaah hai
koī javān ā.īna-bardār chāhiye
bāzār-e-ārzū meñ kaTī jā rahī hai umr
ham ko ḳharīd le vo ḳharīdār chāhiye
Top Urdushayar.com