sukūn-e-dil gayā nazroñ se sab qatāre ga.e
chaman meñ khilte hue jab se phuul maare ga.e
havā-e-maut zarā der kyā idhar aa.ī
ki mere haath se uḌ kar mire ġhubāre ga.e
ye kaisī karbalā barpā huī peshawar meñ
lahū meñ Duube hue mere bachche maare ga.e
unheñ hī martaba miltā hai jā ke jannat meñ
husūl-e-ilm kī ḳhātir jo jaan vaare ga.e
chaman ujāḌne vaalo tumheñ ḳhudā samjhe
tumheñ na aa.ī hayā phuul to hamāre ga.e
rahegā yaad hameñ aane vaalī nasloñ tak
vo naqsh-e-pā jo yahāñ ḳhuun se ubhāre ga.e
salām merā 'azīm' un shahīd bachchoñ ko
jo apnī jiit kī ḳhātir bhī jaan haare ga.e