kise ḳhabar ki hai kyā kyā ye jaan thāme hue
zamīn thāme hue āsmān thāme hue
fazā.eñ kuchh bhī nahīñ haiñ faqat nazar kā fareb
khaḌā huā hai koī āsmān thāme hue
safīna mauja-e-sail-e-balā se garm-e-satīz
havā kā bār-e-girāñ bādbān thāme hue
girā hai koī jarī ai fasīl-e-shahr-e-tabāh
muzāhimat kā darīda-nishān thāme hue
saḌak ke paar chalā jā rahā hai bachtā huā
kisī kā haath koī mehrbān thāme hue
ajab tilism sā manzar hai bhīgtī huī shaam
koī parī hai dhanak kī kamān thāme hue