qarya-e-intizār meñ umr gañvā ke aa.e haiñ
ḳhāk-ba-sar is dasht meñ ḳhaak uḌā ke aa.e haiñ
yaad hai teġh-e-be-ruḳhī yaad hai nāvak-e-sitam
bazm se terī ahl-e-dil ranj uThā ke aa.e haiñ
jurm thī sair-e-gulistāñ jurm thā jalva-hā-e-gul
jabr ke bāvajūd ham gasht lagā ke aa.e haiñ
pahle bhī sar bahut kaTe pahle bhī ḳhuuñ bahut bahā
ab ke magar azaab ke daur balā ke aa.e haiñ
raat kā koī pahar hai tez havā kā qahr hai
ḳhauf-zada diloñ meñ sab harf duā ke aa.e haiñ