aisī bhī kahāñ be-sar-o-sāmānī huī hai
jo sab ko mujhe dekh ke hairānī huī hai
dil meñ to tirī yaad thī ik buuñd lahū kī
āñkhoñ meñ jo aa.ī to yahī paanī huī hai
qulzum kā hai ezaaz ki tahdārī kī har mauj
is zulf-e-girah-gīr kī dīvānī huī hai
kyā DhūñDne niklī hai kisī qais ko pāgal
is darja jo ye bād-e-bayābānī huī hai
āseb-zada haiñ dar-o-dīvar-e-shab-o-roz
kis darja mah o saal kī vīrānī huī hai
bo.e haiñ bahut chashm-e-tamannā meñ yahāñ ḳhvāb
tab jā ke zamīñ dil kī ye bārānī huī hai