ishq meñ ho ke mubtilā dil ne kamāl kar diyā
yuuñ hī sī ek shakl ko zohra jamāl kar diyā
ham ko tumhārī bazm se uThne kā kuchh qalaq nahīñ
jaisā ḳhayāl ho sakā vaisā ḳhayāl kar diyā
sail-e-ravān-e-umr ke aage Thahar sakā na kuchh
vaqt ne mehr-e-husn ko rū-ba-zavāl kar diyā
ek sam-e-azāb sā phail gayā vajūd meñ
roz-o-shab-e-firāq ne jiinā muhāl kar diyā
merī zabān-e-ḳhushk par ret kā zā.iqa sā hai
mausam-e-bar-shigāl ne kaisā ye haal kar diyā
dhund meñ kho ke rah ga.iiñ sūrateñ mehr-o-māh sī
vaqt kī gard ne unheñ ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā