Azeem Haider Syed

dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

Azeem Haider Syed

Karachi, Sindh, Pakistan

1971
dastak havā kī sun ke kabhī Dar nahīñ gayā
lekin maiñ chāñd-rāt meñ bāhar nahīñ gayā
āñkhoñ meñ uḌ rahā hai abhī tak ġhubār-e-hijr
ab tak vidā-e-yār kā manzar nahīñ gayā
ai shām-e-hijr-e-yār mirī tū gavāhī de
maiñ tere saath saath rahā ghar nahīñ gayā
tū ne bhī saare zaḳhm kisī taur sah liye
maiñ bhī bichhaḌ ke jī hī liyā mar nahīñ gayā
saada fasīl-e-shahr mujhe dekhtī rahī
lekin maiñ terā naam bhī likh kar nahīñ gayā
baḳhshā shab-e-firāq ko dil ne abad kā tuul
shab bhar lahūluhān rahā mar nahīñ gayā
Top Urdushayar.com