kaise pā.ūñ tujhe girdāb nazar aatā hai
aur tū mujh ko tah-e-āb nazar aatā hai
tū jo dikh jaa.e to maiñ iid mukammal samjhūñ
ab mujhe tujhmeñ hī mahtāb nazar aatā hai
chaak dāman bhī hai muflis bhī hai be-ghar bhī hai
is liye zar kā use ḳhvāb nazar aatā hai
ek vo shaḳhs jo auroñ ke liye jiitā ho
aaj ke daur meñ kamyāb nazar aatā hai
daur-e-mushkil meñ mujhe jis ne nahīñ pahchānā
aaj vo milne ko betāb nazar aatā hai