Raunaq Naeem

darwaza mayus hai shayad sog mein hai angnai bahut

Raunaq Naeem

West Bengal, India

1933
darvāza māyūs hai shāyad sog meñ hai añgnā.ī bahut
ik muddat par apne ghar kī aa.ī to yaad aa.ī bahut
maiñ kyā jānūñ bhed hai kaisā pūchho ghaaT ke patthar se
dhīre dhīre āḳhir kaise jam jaatī hai kaa.ī bahut
pūrab pachchhim uttar dakhkhin har jānib hai ek hī haal
koī bhī mausam ho ġham kī chaltī hai purvā.ī bahut
andhe bahre gūñge saa.e ḳhaak mire kaam ā.eñge
āvāzoñ ke is jañgal meñ Dastī hai tanhā.ī bahut
kahtī haiñ kuchh aur lakīreñ lafzoñ kā mafhūm hai aur
chāhe jo bhī naqsh ho is meñ hotī hai gahrā.ī bahut
pyaar sharāfat hamdardī īsār vafā sachchā.ī ḳhulūs
'raunaq' ye vo lafz haiñ jin se hotī hai rusvā.ī bahut
Top Urdushayar.com