Raunaq Naeem

guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya

Raunaq Naeem

West Bengal, India

1933
gumāñ hadd-e-nazar tak kyā thā lekin kyā nazar aayā
jidhar dariyā kī maujeñ thiiñ udhar sahrā nazar aayā
mujhe fursat kahāñ apnī basīrat se maiñ ye pūchhūñ
vo kaisā aa.ina thā kaun sā chehra nazar aayā
samundar band ho kar rah gayā thā jis kī muTThī meñ
ta.ajjub hai vo bāzīgar sarāsīma nazar aayā
to kyā āb-e-ravāñ se pyaas apnī dhul nahīñ saktī
ye kaisā silsila āḳhir sarāboñ kā nazar aayā
chalo ye bhī dilāse ke liye kuchh kam nahīñ 'raunaq'
makāñ jab jal gayā tab abr kā TukḌā nazar aayā
Top Urdushayar.com