nā-tavānī meñ bhī vo kirdār honā chāhiye
apne hī kāñdhe pe apnā baar honā chāhiye
ye ḳhayāl aane lagā hai kis tavaqqo par tumheñ
raah meñ har peḌ sāya-dār honā chāhiye
shahr bhar meñ saḳht jaanī ke liye mash.hūr huuñ
merī ḳhātir ik na ik āzār honā chāhiye
merā dushman duur tak koī nahīñ mere sivā
aur dushman se mujhe hoshiyār honā chāhiye
ye subuk-sārān-e-sāhil kis qadar haiñ mutma.in
in ke aage bhī koī mañjhdār honā chāhiye
phuul kī pattī se bhī nāzuk hai kuchh dil kā mizāj
log kahte haiñ mujhe talvār honā chāhiye
maut ke aaseb se 'raunaq' abas Darte haiñ log
zindagī bhar zindagī se pyaar honā chāhiye