toḌ kaḌiyāñ zamīr ki 'anjum'
aur kuch der to bhī jī 'anjum'
ek bhī gaam chal na pā.egī
in añdheroñ meñ raushnī 'anjum'
zindagī tez dhuup kā dariyā
aadmī naav mom kī 'anjum'
jis ghaTā par thī aañkh sahrā ki
vo samundar pe mar miTī 'anjum'
jis pe suraj ki mehrbānī ho
us pe khiltī hai chāñdnī 'anjum'
sub.h kā ḳhvāb umr bhar dekhā
aur phir niiñd aa ga.ī 'anjum'