Anjum Ludhianvi

hazaron sal chalne ki saza hai

Anjum Ludhianvi

hazāroñ saal chalne ki sazā hai
batā ai vaqt terā jurm kyā hai
ujālā kaam par hai pau phaTe se
añdherā chain se soyā huā hai
havā se laḌ rahe bujhte diye ne
hamārā zehn raushan kar diyā hai
vo suraj ke gharāne se hai lekin
falak se chāñdnī barsā rahā hai
badan par raushnī oḌhī hai sab ne
añdherā ruuh tak phailā huā hai
sunā hai aur ik bhūkā bhikārī
ḳhudā kā naam lete mar gayā hai
vahī ham haiñ na.ī shakloñ meñ 'anjum'
vahī sadiyoñ purānā rāsta hai
Top Urdushayar.com