jaane kis kī aahaT kā intizār kartā hai
TuuT to chukā hai vo dekho kab bikhartā hai
zaḳhm chāhe jaisā ho ek din to bhartā hai
aap so.e hote haiñ vaqt kaam kartā hai
roz chhup ke taktā hai pyāsī pyāsī nazroñ se
us ke ghar ke aage se dariyā jab guzartā hai
dil kā kyā karūñ yaaro māntā nahīñ merī
apne dil kī suntā hai apne man kī kartā hai
dil bujhā bujhā ho to kyā burā hai rone meñ
bārishoñ ke ba.ad anjum āsmāñ nikhartā hai