vasl kī raat vo tanhā hogā
us pe hālāt kā pahra hogā
niiñd kyuuñ TuuT ga.ī āḳhir-e-shab
kaun mere liye taḌpā hogā
ḳhushbueñ phuuT ke roī hoñgī
gul havāoñ meñ jo bikhrā hogā
vādī-e-zehn se uThtā hai dhuāñ
qāfila yādoñ kā Thahrā hogā
jaane kis haal se guzrī hogī
phuul jis shāḳh pe utrā hogā
yaad ā.eñgī hamārī ġhazleñ
zikr jab taaza havā kā hogā
chāñd ko dekh ke chhat par 'anjum'
saaya dīvār se niklā hogā