ġham hañsī meñ chhupā diyā hogā
chashm-e-nam ne batā diyā hogā
bhuul jaane kī us ko aadat thī
us ne mujh ko bhulā diyā hogā
ek ḳhat thā subūt chāhat kā
vo bhī us ne jalā diyā hogā
raat chupke se le uḌī thī havā
raaz dil kā batā diyā hogā
hijr ke maare dil ko bhī us ne
jaane kaise sulā diyā hogā
phir bulāyā hai aaj nāseh ne
gul kisī ne khilā diyā hogā
hai yaqīñ mujh ko zikr par mere
vo faqat muskurā diyā hogā