be-parda ho ke jab vo lab-e-bām aa gayā
āñkhoñ pe merī diid kā ilzām aa gayā
tā-sub.h karvaTeñ hī badalte raheñge ham
un kā agar ḳhayāl sar-e-shām aa gayā
bebākiyoñ pe un kī kisī ne nazar na kī
merī nigāh-e-shauq pe ilzām aa gayā
is daur meñ bahut hī ġhanīmat kaho use
dukh meñ agar kisī ke koī kaam aa gayā
kitnī hamārī umr-e-mohabbat thī muḳhtasar
āġhāz hī kiyā thā ki anjām aa gayā
duniyā ke ġham bhī ham ne usī meñ Dubo diye
'amjad' nigāh-e-nāz kā jab jaam aa gayā