chhā.ī jo har sū badlī kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
dekh sake na panchhī Daalī aañkh meñ aañsū aa.e
mere des kī jannat jaisī dhartī ujḌī ujḌī
har jā dekhī jab bad-halī aañkh meñ aañsū aa.e
ḳhemoñ kī bastī meñ vo jo zinda lāsheñ haiñ
dekh ke un kī aañkh savālī aañkh meñ aañsū aa.e
ThanDā siina dhartī kā hai bhuuk ke maare haiñ sab
din tiira aur raat hai kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
kyūñkar ham pardes ko apnā des kaheñ batlāo
kis zālim ne rasm ye Daalī aañkh meñ aañsū
kis ko siine se lipTā.eñ kis kā māthā chūmeñ
dekh ke ghar kā āñgan ḳhālī aañkh meñ aañsū aa.e
jis ne ghar ke bāġhīche ko apne ḳhuun se sīñchā
chhoḌ gayā jab is kā maalī aañkh meñ aañsū aa.e
'amjad' kaisī aag lagī hai lafzoñ ke paanī meñ
ujlī ġhazleñ ho ga.iiñ kaalī aañkh meñ aañsū aa.e