gayā vo daur havāoñ se tañg hone kā
koī malāl nahīñ apne sañg hone kā
basā huā hai nigāhoñ meñ ek hī manzar
baḌā hī shauq thā akkās rañg hone kā
vahī jahān-e-havādis vahī khulī āñkheñ
qarīb-e-marg hai ehsās dañg hone kā
sadā-e-sāz jo bhātī hai do-ghaḌī dil kā
gumān tār-e-nafas pe hai chañg hone kā
mujhe kisī se bhī 'amjad' gila nahīñ maiñ to
talāsh kartā huuñ mauqa dabañg hone kā
khaḌe raho na muqābil har ek ke 'amjad'
ki is tarah se to ḳhatra hai jañg hone kā