na ḳhūn-e-dil hai na mai kā ḳhumār āñkhoñ meñ
basī huī hai tumhārī bahār āñkhoñ meñ
phirī haiñ putliyāñ begāna-vār āñkhoñ meñ
chhupā huā hai koī parda-dār āñkhoñ meñ
ummīd-e-jalva-e-dīdār bād-e-marg kahāñ
bharī hai yaas ne ḳhāk-e-mazār āñkhoñ meñ
diye baġhair tire baaġh meñ guloñ ne daaġh
chubho.e nargis-e-shahlā ne ḳhaar āñkhoñ meñ
ilāhī dīda-e-hairāñ khulā na rah jaa.e
Thahar na jaa.e kahīñ intizār āñkhoñ meñ
vo rone vaalā huuñ 'shola' ki bād-e-marg mirā
banā.eñ mardum-e-dīda-e-mazār āñkhoñ meñ