Shola Aligarhi

ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

Shola Aligarhi

Aligarh, Uttar pradesh, India

ai hazrat-e-īsā nahīñ kuchh jā-e-suḳhan ab
vo aa ga.e rakhvā.iye tah kar ke kafan ab
sīñchā gayā phūlā hai na.e sar se chaman ab
ashkoñ ne kiye sabz mire dāġh-e-kuhan ab
vo shauq-e-asīrī khule gesū ke shikan ab
tarseñge qafas ke liye murġhān-e-chaman ab
ḳhāmoshī ne mādūm kiyā aur dahan ab
tum hī kaho baaqī rahī kyā jā-e-suḳhan ab
yārān-e-vatan ko hai ġharīboñ se kināra
ġhurbat kā taqāzā hai karo tark-e-vatan ab
sun lījiye kuchh qissa-e-betābi-e-dil ko
jo jī meñ ho kah lījiye phir mushfiq-e-man ab
sīmāb banāyā but-e-hijrāñ ne jigar ko
dil Thaharne detī nahīñ siina kī jalan ab
āḳhir koī had bhī tirī ai dūri-e-ġhurbat
māyūs hue jaate haiñ yārān-e-vatan ab
kyā fikr hai ai 'shola' piyo bāda-e-rañgīñ
Daalo bhī kahīñ bhaaḌ meñ ye rañj-o-mehan ab
Top Urdushayar.com