maiñ jab.ha sā huuñ us dar-e-ālī-maqām kā
kaaba jahāñ javāb na paa.e salām kā
sikka ravāñ hai kis but-e-mahshar-ḳhirām kā
naqsh-e-qadam nagīñ hai qayāmat ke naam kā
kyā pās-e-ġhair-e-qasd hai gar qatl-e-ām kā
ik murda duur rakh do masīhā ke naam kā
ai rah-ravān-e-manzil-e-maqsūd marhabā
chamkā kalas vo rauza-e-dārus-salām kā
ḳhanjar sambhāliye pa-e-taslīm ḳham haiñ ham
gardan javāb le ke uThegī salām kā
ġhash kaisā maiñ to tarz-e-takallum pe mar gayā
muusā ne kuchh bhī lutf na paayā kalām kā
mujh se huā hai vāda-e-roz-e-jazā abhī
dete ho kyā javāb adū ke payām kā
ai 'shola' kah do bulbul-e-ḳhuld-e-barīñ se ab
gul-dasta bāñdh le mere rañgīñ kalām kā