Shola Aligarhi

zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak

Shola Aligarhi

Aligarh, Uttar pradesh, India

zabt-e-fuġhāñ se aa ga.ī hoñToñ pe jaañ talak
dekhoge mere sabr kī tāqat kahāñ talak
ġhaflat-shi.ārahā ke taġhāful kahāñ talak
jiitā rahegā kaun tire imtihāñ talak
vo merī aarzū thī jo ghuT ghuT ke rah ga.ī
vo dil kī baat thī jo na aa.ī zabāñ talak
gulshan meñ aa ke tum to ajab haal kar ga.e
bhūle hue haiñ murġh-e-chaman āshiyāñ talak
pāmāl karne ḳhaak uḌāne se fā.eda
aise chalo ki merā miTā do nishāñ talak
yaad aa.e chhuT ke daam se sayyād ke karam
pahuñchā do mujh ko koī mire mehrbāñ talak
'shola' ke ba.ad ḳhatm hai ījād-e-tarz-e-nau
kuchh lutf thā suḳhan kā usī ḳhush-bayāñ talak
Top Urdushayar.com