dil kī bisāt kyā thī jo sarf-e-fuġhāñ rahā
ghar meñ zarā sī aag kā kitnā dhuāñ rahā
shab bhar ḳhayāl-e-gesu-e-ambar-fishāñ rahā
mahkā huā shamīm se saarā makāñ rahā
kyā kyā na kāvishoñ pe mirī āsmāñ rahā
bijlī girā.ī mujh pe na jab āshiyāñ rahā
mahshar bhī koī dard hai jo uTh ke rah gayā
shikva bhī koī ġham hai jo dil meñ nihāñ rahā
ḳhurshīd āsmāñ pe rahā tū zamīñ pe hai
mīzān-e-husn meñ tirā palla girāñ rahā
jiine meñ kyā mazā jo nahīñ maut kā yaqīñ
marne meñ lutf kyā hai jo vo bad-gumāñ rahā
kasrat hijāb-e-dīda-e-ārif kabhī nahīñ
zarroñ meñ ek mehr kā jalva ayaañ rahā
bīmār-e-hijr maut se uTh kar lipaT gayā
vaade pe aayā jab koī terā gumāñ rahā
dil bhī gayā jigar bhī gayā jaan bhī ga.ī
maiñ phir bhī dekhtā hī tirī shoḳhiyāñ rahā
ai 'shola' kyā tabī.at-e-nāzuk pe zor duuñ
qadr-e-suḳhan rahī na koī qadr-dāñ rahā