bad amal karte ho aur nek jazā chāhte ho
dil meñ socho to ki kyā karte ho kyā chāhte ho
us ke bandoñ kā satānā hai nihāyat hī burā
un ko ārām do gar apnā bhalā chāhte ho
nā-ḳhudā-tarshoñ ko jab tum ne kiyā apnā nadīm
huā ma.alūm ki tum apnā burā chāhte ho
bad-ma.āshoñ se to karvāte ho aalam ko tabāh
us pe ye lutf hai ābād huā chāhte ho
hājateñ aur ġharīboñ kī to karvāte ho band
aur hājāt ko tum apnī ravā chāhte ho
saare aalam ko to rulvāte ho aur is ke evaz
ye tamāshā hai ki tum aap hañsā chāhte ho
baat kyūñ-kar bane zāhir meñ to farmāte ho lutf
qatl bātin meñ ġharīboñ ko kiyā chāhte ho
'aish' kar arz yahī un se ki bas tauba karo
maraz-e-ġham se agar apnī shifā chāhte ho