Hakeem Aagha Jan Aish

uski zulfen jis ne chheDin wo saba thi main na tha

Hakeem Aagha Jan Aish

us kī zulfeñ jis ne chheḌīñ vo sabā thī maiñ na thā
merā kyā maqdūr ye us kī ḳhatā thī maiñ na thā
mujh se bole kal nashe meñ ḳhuub huñkāreñ haiñ aap
ye na samjhe aur hī vo be-hayā thī maiñ na thā
merā kyā maqdūr jo maiñ dar tak aatā aap ke
vo raqīboñ kī ajī āvāz-e-pā thī maiñ na thā
pūchhā jab mansūr se tum ne anal-haq kyuuñ kahā
ye kahā us ne ki vo shān-e-ḳhudā thī maiñ na thā
maiñ ne kyā ifshā kiyā raaz un kā soch ai ham-nashīñ
bā.is-e-ifshā-e-rāz un kī hayā thī maiñ na thā
'aish' sab adnā se a.alā tak vahāñ hāzir the kal
bazm meñ ek us kī ḳhālī merī jā thī maiñ na thā
Top Urdushayar.com