Hakeem Aagha Jan Aish

na KHushi se hamein na gham se gharaz

Hakeem Aagha Jan Aish

na ḳhushī se hameñ na ġham se ġharaz
hai magar ek us sanam se ġharaz
na hameñ jaam se na ḳhum se ġharaz
yaar rakhte haiñ apne dam se ġharaz
nahīñ parvā koī jiye ki mare
hai unheñ rāt-din sitam se ġharaz
jo ki shākir haiñ apnī qismat par
nahīñ kuchh un ko besh-o-kam se ġharaz
ham rasūl-e-ḳhudā kī ummat haiñ
hai hameñ shāfa-e-umam se ġharaz
aur tasadduq se us ke rakhte haiñ
apne allāh ke ham karam se ġharaz
'aish' jo us nigah ke āshiq haiñ
un ko kyā ḳhanjar-e-do-dam se ġharaz
Top Urdushayar.com