chaman meñ dekh ġhunchoñ ko javānī apnī yaad aa.ī
fasāna sun ke bulbul kā kahānī apnī yaad aa.ī
jo dekhī nargis-e-bīmār gulshan meñ to bas ham ko
bahut riqqat huī aur nā-tavānī apnī yaad aa.ī
sunā kal dekhte hī aa.ine ko kyā kahūñ tum se
mujhe bas aañkh hai hai DabDabā.ī apnī yaad aa.ī
chaman meñ chahchahā bulbul kā bas jūñhī sunā ham ne
to bas yāroñ meñ ham ko sher-ḳhvānī apnī yaad aa.ī
jo dekhā hāl-e-sham.a sub.h ham ne bazm meñ jā kar
to ham ko umr-e-be-hūda gañvānī apnī yaad aa.ī
sabā ke chheḌ jo ham ne guloñ se sub.h-dam dekhī
to us gul-rū se ham ko chheḌ-ḳhvānī apnī yaad aa.ī
huā jaatā hai siine meñ jo dil ḳhuuñ hamdamo shāyad
kahīñ us shoḳh ko mehñdī rachānī apnī yaad aa.ī
hilā.ī jo sabā ne zulf-e-pur-ḳham us parī-vash ko
to vo zanjīr-e-dar ham ko hilānī apnī yaad aa.ī
na pūchho kuchh ki hañgām-e-tamāshā dekh dariyā ko
mujhe kyā kyā tabī.at kī ravānī apnī yaad aa.ī
ye tū ne 'aish' dekhī zulf-e-pechāñ kis kī jo tujh ko
pareshāñ-ḳhātirī āshufta-jānī apnī yaad aa.ī