dil lagā.eñge ham us shoḳh parī-zād se ab
badle sab leveñge charḳh-e-sitam-ījād se ab
tañg ushshāq haiñ zālim tirī bedād se ab
un ke kāñpe hai falak nāla-o-fariyād se ab
barq-o-sīmāb ko da.ave the taḌapne ke baḌe
hoñ muqābil kaho aa kar dil-e-betāb se ab
toḌ de jab kamar-e-shāḳh samar hī us kā
kyā tavaqqo.a rakhe apnī koī aulād se ab
phañs chukī daam meñ sayyād ke jab bulbul-e-zār
ronā kyā fā.eda be-rahmī-e-sayyād se ab
dil liyā jaan bhī maujūd hai lo bismillāh
mujh ko chāra nahīñ hai aap ke irshād se ab
'aish' āsūdgī dārain kī ho tujh ko nasīb
hai duā ye hī mirī ḳhāliq-e-javvād se ab