dil butoñ se na lagānā hargiz
un ke phande meñ na aanā hargiz
dil tujhe apnī hai gar jaan aziiz
kū-e-qātil meñ na jaanā hargiz
maañg baiThā vo to dil dene meñ
nahīñ banñe kā bahānā hargiz
andalībān-e-chaman ko sayyād
fasl-e-gul meñ na satānā hargiz
shikva-e-yār zabāñ par apnī
dil ḳhabar-dār na laanā hargiz
hadaf-e-tīr nigāh-e-qātil
murġh-e-dil ko na banānā hargiz
is se vābasta haiñ dil lākhoñ ke
zulf meñ khīñcho na shānā hargiz
rahne detā nahīñ insān ko yaañ
ik vatīre pe zamānā hargiz
inqalāb is meñ hai dam dam ai dil
is kā afsos na khānā hargiz
gar ḳhudā de tujhe taufīq ai 'aish'
dil kisī kā na dukhānā hargiz