ḳhūbiyoñ meñ nahīñ kuchh daulat-o-zar kī ḳhūbī
ādamiyat se hai duniyā meñ bashar kī ḳhūbī
karte haiñ nīm-nigah meñ vo sunā mas ko tilā
hai ye adnā nazar-e-ahl-e-nazar kī ḳhūbī
be-samar sabz huī shāḳh to kyā sabz huī
ho samar-dār ye hai shāḳh-e-shajar kī ḳhūbī
bad-maza aur hue shor-o-fuġhāñ se vo mire
dekh lī ham ne ye nāloñ ke asar kī ḳhūbī
naam hī naam suno un kā vo aaveñ na nazar
hai yahī bas dahan-e-tañg-o-kamar kī ḳhūbī
raunaq-e-hazrat-e-dehlī thī usī ke dam se
ba.ad marne ke khulī sab pe 'zafar' kī ḳhūbī
ho na iqbāl to de jalva-e-sad-aib-e-hunar
saath iqbāl ke hai 'aish' hunar kī ḳhūbī