Hakeem Aagha Jan Aish

mujhse puchhe hain wo ki kya hai dil

Hakeem Aagha Jan Aish

mujh se pūchhe haiñ vo ki kyā hai dil
kyā kahūñ ḳhāna-e-ḳhudā hai dil
kyā kahūñ kyā burī balā hai dil
us kī zulfoñ se jā guthā hai dil
terī furqat meñ ai but-e-dam-bāz
ho ke āñkhoñ se ḳhuuñ bahā hai dil
mil ke us se huā mirā dushman
dekh kyā saḳht bevafā hai dil
jab se āshiq huā huuñ us kā maiñ
rāt-din sirf mudda.ā hai dil
unsur-e-ḳhāk sard dil ye garm
kaun sī ḳhaak se banā hai dil
ai muhavvis jo yaar ke dar par
ḳhaak ho.e to kīmiyā hai dil
ġham-e-hijrāñ meñ ho ke qatra-e-ḳhūñ
nok-e-mizhgāñ pe aa rahā hai dil
siine meñ ik khaTak sī hai bas aur
ham nahīñ jānte ki kyā hai dil
yaad meñ us ke tīr-e-mizhgāñ ke
hadaf-e-nāvak-e-balā hai dil
tujh se koī bhalā mile kyuuñ kar
terā har harf ḳhud judā hai dil
qadr-e-dil 'aish' koī kyā jaane
maḳhzan-e-rāz-e-kibriyā hai dil
Top Urdushayar.com