aap ke ishq meñ ham se to zamāna chhūTā
tum se afsos na ik ġhair kā milnā chhūTā
be-hijābāna the baiThe hue aġhyār ke paas
dekhte hī mujhe dālān kā parda chhūTā
riñd to riñd ajī zāhid-o-vā.iz se bhī to
dekhte hī use tasbīh-o-musalllā chhūTā
havas-e-dil meñ ḳhudā jaane ki kyā lazzat hai
ki jo lab se na kabhī harf-e-tamannā chhūTā
tāñk-jhāñk aap kī vaisī hī buḌhāpe meñ bhī hai
'aish' būḌhe bhī hue par vo na lapkā chhūTā