aa kar phirā na naam ko āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-shab
kyā kyā rahā hai dil ko mire iztirāb-e-shab
vaañ us ne jām-e-mai diye ġhairoñ ko aur yaañ
chhalkā kiyā hai kāsa-e-chashm-e-pur-āb-e-shab
māñgā jo ek bosa to bole ki raah lo
ik umr meñ diyā to diyā ye javāb-e-shab
us ruḳh ko dekh bahr-e-ḳhajālat meñ kuchh na pūchh
sharminda ho ke Duub gayā māhtāb-e-shab
sargarm-e-nāz dekh ke ġhairoñ ke saath use
jal-bhun ke ho gayā dil-e-shaidā kabāb-e-shab
kal sub.h tak thiiñ aap kī āñkheñ jhukī huiiñ
sach kahiye kis ke haath se pī thī sharāb-e-shab
zulf-e-butāñ kī yaad meñ ai 'aish' kyā kahūñ
dil ne mire uThā.e haiñ kyā pech-o-tāb-e-shab